Itna aassan nahi hai bhulana wo bachpan ka boondon se rishta
Aaj bhi jab kuch boondein chitak ke mujhpar aati hain
To dil kho jata hai us hari hari ghaas ki chadar pe
Jinpar mere nanhe kadam thamte nahi they
Mann ro padta hai un saathiyon ke liye
Jinke saath guzarta tha wo bheega bheega sa lamha
Kaise kab beet gaye, ek badal ki tarah gujar gaye
Ab na ghaas ki chadar hai na hi wo saathi
Phir bhi lagta hai shayad ab bhi kuch pal hain baaki
Jinme mein khud ko samet kar in boondon ke hawale kar doon
Chah kar bhi in baucharon ko gale se lagane ki chah nahi jaati
Jab barish ki ye boondein kabhi kabhi mere barje pe hain aati
1 comment:
quite interesting. keep writing...
Post a Comment