Friday, September 03, 2010

inka bachpan?

Kabhi chai ki gumti pe to kabhi kisi dhabe pe
Kabhi kude ke dhero mein to kabhi sadak ke kinare pe
Dekha hai inhe yu har din guzarte hue
Aur inke bachpan ko zindagi se harte hue....dekha hai

Kya kisi din ye bhi apni ma se hat karte honge?
Ya kabhi kisi khilone ko khreed khush hote honge?
‘Mujhe halwa puri khila do ma’ kabhi kehte bhi honge?
Ya nayi kameez pehen ke janamdin pe hanste honge?

Ye sabhi to aasmani baatein hain inke liye
Janamdin kya janam ki tareek tak na dhyan hogi
Puri ki kya hat kare jab roti poori padti nahi
Inke gharo mein kai baar chulhe ki aag tak jalti nahi

Kya karenge kya bangenge koi na jaane koi na soche
Koi kisi andhi galiyon mein bhatak jayega
Koi yu hi zindagi bhar kaam karta jayega
Shayad hazaron mein koi ek aisa bhi dikhe
Jo in gumnam jahan se pare naam kamayega....shayad!!!