Zindagi ko kya kahe zindagi ka dosh nahi
Kissa hai umeedon ka, aashaon ka bojh nahi
Kuch sochte hai kya sochte hain, ulajh se jaate hain
Hum aksar apni hi baton se behek se jate hain
Aansuo ka daur nahi, dil ka bhi shor nahi
Bas kuch samajh nahi aata baat kuch aur nahi
Na raat ki tanhaee hai, na din bhar ka kaam
Naa subah gum bhari hoti hai na akeli hai shaam
Phir bhi kuch hai jo nahi hai mere paas
Na jaane kaisa hai ye bhara sa khali sa ehsaas
Bolon ki kami nahi, baton ki katare bhi hai
Hansi ke zhoke bhi hain, pyaar ki bauchare bhi hai
Ajeeb sa sab lagta hai phir bhi aaj kal
Apne ho ke bhi jud nahi paa rahe hain mujhe ye sare pal
Par zindagi ko kya kahe zindagi ka dosh nahi…………